Hum dono me bas itna sa farq hai,
Uske sab “lekin” mere naam se
Shuru hote hain,
Aur mere saare “kaash”
Uss par aa kar rukte hain.
Kaamyaabi tere liye humne
Khud ko khuch yun taiyaar ka liya, Maine har jazbaat bazaar mein
Rakh kar ishtehaar kar liya.
Yun toh bhoole hain humne log kai,
Pehle bhi bahut se,
Par tum jitna koi unme se,
Kabhi yaad nahi aaya.
Pehle bhi bahut se,
Par tum jitna koi unme se,
Kabhi yaad nahi aaya.
Zindagi se khuch zaada nahi,
Bas itni si farmaaish hai
Ab tasveer se nahi,
Tafseel se milne ki khwaaish hai.
Bas itni si farmaaish hai
Ab tasveer se nahi,
Tafseel se milne ki khwaaish hai.
Bewajh bewafaaon ko yaad kiya hai
Galat logon pe bahut waqt barbaad kiya hai.
Har ek dastoor se bewafai,
Maine shiddat se hai nibhai,
Raaste bhi khud hai dhundhe
Aur manzil bhi khud banayi
Maine shiddat se hai nibhai,
Raaste bhi khud hai dhundhe
Aur manzil bhi khud banayi
Teri bewafaai ki angaaron me
Lipti rahi hai rooh meri
Main iss tarah aaj na hota
Jo ho jati tu meri
Lipti rahi hai rooh meri
Main iss tarah aaj na hota
Jo ho jati tu meri
Ye khuch sawal hai jo
Sirf qayamat ke roz puchunga
Kyunki usse pehle
Tumhari aur meri baat ho sake
Iss layak nahi ho tum
Sirf qayamat ke roz puchunga
Kyunki usse pehle
Tumhari aur meri baat ho sake
Iss layak nahi ho tum
Ab koi haq se haath pakadkar
Mehfil mein dobara nahi baithaata
Sitaaron ke beech se suraj banne ke
Khuch apne hi nukasaan hua karte hai
Mehfil mein dobara nahi baithaata
Sitaaron ke beech se suraj banne ke
Khuch apne hi nukasaan hua karte hai
Dosti aaino se kabhi lambi nahi chalti
Itni imandaari bhi rishton ke liye aachi
Itni imandaari bhi rishton ke liye aachi
nahi hoti
Comments
Post a Comment